Ye Qisson Mein Jo Dukh UThane Bandhe Hain
ye qisson mein jo dukh uThane bandhe hain
so ulfat hi ke sab fasane bandhe hain
qafas mein suno lo asiran-e-kohna
ba-har-shaKH-e-nau aashiyane bandhe hain
KHuda jaane is ghar mein kya hai ki jis ke
kai dar ke aage diwane bandhe hain
wo aansu hain apne ki sab ki girah mein
kai motiyon ke KHazane bandhe hain
hawa ye dayar-e-mohabbat ki bigDi
ki sab rahne walon ke shane bandhe hain
mulaqat kya ho rahe Thaur bas hum
ki jaane ke wan to Thikane bandhe hain
lagen kyun na tir-e-nigah dil jigar par
ki us chashm ke ye nishane bandhe hain
falak tere hathon baDe the jo dana
so ab un ke pallon mein dane bandhe hain
ghazab sada-ruon ki hai sadgi bhi
ki phenTe ajab sufiyane bandhe hain
hui ghar mein shadi tumhaare to aisi
ki jis ke jahan mein fasane bandhe hain
na bulwane ka hum ko shikwa hai dekho
bandhan-war ab tak purane bandhe hain
baKHil ab ye munim nahin kyunki 'jurat'
kase jin ke KHwanon mein khane bandhe hain
(1206) Peoples Rate This