Ye Ghazab BaiThe-biThae Tujh Pe Kya Nazil Hua
ye ghazab baiThe-biThae tujh pe kya nazil hua
uTh chala duniya se kyun tu tujh ko ai dil kya hua
shakl hi aisi banai hai teri allah ne
mat KHafa ho gar hua main tujh pe mail kya hua
in dinon haalat teri pata hun main apni si yar
KHub-ru tujh sa koi tere muqabil kya hua
ai but-e-KHun-KHwar ek zaKHmi tere kuche mein tha
so kai din se KHuda jaane wo ghayal kya hua
zang ho kar qais ka dil karwan-dar-karwan
nit ye kahta hai ki wo laila ka mahmil kya hua
fikr-e-marham mat karo yaro ye batlao mujhe
jis ke hathon main hua zaKHmi wo qatil kya hua
tha jigar to TukDe TukDe bar mein kyun taDpe hai tu
kyun dila tegh-e-jafa se tu bhi bismil kya hua
ranjishen aisi hazar aapas mein hoti hain dila
wo agar tujh se KHafa hai tu hi ja mil kya hua
apne begane sabhi hain mat uTha mahfil se yar
gar kisi Dhab se hua yan main bhi daKHil kya hua
dekhte hi teri surat mujh ko ai aaina-ru
saKHt hairat hai ki pahlu mein nahin dil kya hua
soch rah rah kar yahi aata hai ai 'jurat' mujhe
KHalq karne se mere KHaliq ko hasil kya hua
(1329) Peoples Rate This