Yan Us Gali Sa Kab Koi Bustan Hai Dusra
yan us gali sa kab koi bustan hai dusra
han kuchh jo hai to rauza-e-rizwan hai dusra
har dam ye do adu hain pae-jaan-e-na-tawan
ek dard-e-ishq hai gham-e-hijran hai dusra
hai turfa jaan-o-dil ka dam-e-iztirab haal
roken jo ek ko to gurezan hai dusra
aaina jab wo dekhe to kahti hain chitwanen
sach hai ki hum sa kab koi insan hai dusra
wo ruk ke uTh chala to use kyunki rokiye
ek dast hai ba-dil ba-gareban hai dusra
us ghar ke dar pe jab hue hum KHak tab khula
darwaza aane jaane ko aur yan hai dusra
kya dil jigar ki us ki gali mein kahen KHabar
ek mar gaya ek aan ka mehman hai dusra
rahiye hamare dil mein ki laeq tumhaare kab
aisa makan ba-kishwar-e-dauran hai dusra
Tuk suniyo zamzame mere dil ke ki bagh mein
kab is tarah ka murgh-e-KHush-alhan hai dusra
hai turfa qismat apni ki jis ja ho ek dost
wan dekhiye to jaan ka KHwahan hai dusra
yani nashist Thahri kal us dar pe thi so hae
dekha jo aaj ja ke to darban hai dusra
yakta hai do jahan mein 'jurat' ali ki zat
aisa na koi yan na koi wan hai dusra
(968) Peoples Rate This