Yan Hum Ko Jis Ne Mara Malum Ho Rahega
yan hum ko jis ne mara malum ho rahega
mahshar mein KHun hamara malum ho rahega
go phul phul kar ab to dekhti hai bulbul
gulshan ka par nazara malum ho rahega
jab bahr-e-gham mein Duba de chhoD dast-o-pa ko
aaKHir tujhe kinara malum ho rahega
ai sabr dam-ba-dam ab dard-o-alam fuzun hai
jitna hai dil ka yara malum ho rahega
ai aaftab-e-mahshar kholun hun dagh dil ka
chamka agar ye tara malum ho rahega
sad-sher aashiqon ka hone laga wafur ab
sab hausla tumhaara malum ho rahega
naqsh-e-qadam se aaKHir teri gali mein pyare
jis ka hua guzara malum ho rahega
afsos raaz dil ka jasus sun gae hain
qissa ab us ko sara malum ho rahega
poshida go hai tujh par ahwal mere dil ka
hai ye to aashkara malum ho rahega
na-chaar ku-ba-ku ab tahqiq karne phiriye
kuchh dard-e-dil ka chaara malum ho rahega
pinhan hai ab to lekin marne ke baad 'jurat'
dard-e-darun hamara malum ho rahega
(900) Peoples Rate This