Yaad Kar Wo Husn-e-sabz Aur AnkhDiyan Matwaliyan
yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiyan matwaliyan
kaTte hain ro hi ro sawan ki raaten kaliyan
shab tasawwur bandh kar us jumbish-e-mizhgan ka wah
KHud-baKHud kis kis maze se hum ne chhaDiyan kha liyan
dekhen kya un ki lachak us saad-e-nazuk baghair
khinchti hain kyun hamein kanTon mein gul ki Daliyan
kuchh na kuchh kar baiThta hun baat us ke bar-KHilaf
ta kisi surat wo de jhunjhla ke mujh ko galiyan
mah asir-e-haala us ka dekh baala kyun na ho
KHanda-zan hon mahr par jis ki jaDaw-baaliyan
shab ko jo us ka tasawwur bandh gaya to hum ne bas
us ke mukhDe ki balaen subh tak kya kya liyan
waqt-e-izhaar-e-wafa mahfil mein us ki jis se aankh
mil gai to bas wo sab baaten usi par Dhaaliyan
barg-e-gul un ko kahun ya para-e-yaqut wah
dekhiyo bin pan khae un labon ki laliyan
kucha-e-qatil ko gar musalaKH kahun to hai baja
jab na tab dekho to bahti hain lahu ki naliyan
KHun-e-dil aankhon mein bhar aata hai jab aati hai yaad
wo mai-e-gul-rang ki bhar bhar ke deni pyaliyan
tak-jhank us ki kahun kya main ki tifli mein bhi thin
us ke hathon ghar ki diwaron mein har su jaliyan
kash 'jurat' wasl ka din howe jaldi se nasib
hijr ki to khae jati hain ye raaten kaliyan
(995) Peoples Rate This