Yaad Aata Hai To Kya Phirta Hun Ghabraya Hua
yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua
champai rang us ka aur jauban wo gadraya hua
baat hi awwal to wo karta nahin mujh se kabhi
aur jo bole hai kuchh munh se to sharmaya hua
ja ke phir aaun na jaun us gali mein dauD dauD
par karun kya main nahin phirta hai dal aaya hua
be-sabab jo mujh se hai wo shola-KHu sargarm-e-jang
main to hairan hun ki ye kis ka hai bhaDkaya hua
wo kare azm-e-safar to kijiye duniya se kuch
ye irada hum ne bhi dil mein hai Thahraya hua
nok-e-mizhgan par dil-e-pazh-murda hai yun sar-nigun
shaKH se jhuk aae hai jun phul murjhaya hua
jaun jaun kya lagaya hai miyan baiThe raho
hun main apni zist se aage hi uktaya hua
teri duri se ye haalat ho gai apni ki aah
an-qarib-e-marg har ek apna ham-saya hua
kya kahen ab ishq kya kya hum se karta hai suluk
dil pe be-tabi ka ek pyaada hai biThlaya hua
hai qalaq se dil ki ye haalat meri ab tu ki main
chaar-su phirta hun apne ghar mein ghabraya hua
chupke chupke apne apne dil mein sab kahte hain log
kya bala wahshat hui hai is ko ya saya hua
hukm bar-e-majlis ab 'jurat' ko bhi ho jae ji
ye bichaara kab se darwaze pe hai aaya hua
(905) Peoples Rate This