Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0dfd03e1247ed689f8ebd883f9cc073d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wan Se Ghar Aa Ke Kahan Sona Tha - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Wan Se Ghar Aa Ke Kahan Sona Tha

wan se ghar aa ke kahan sona tha

subh tak yaad thi aur rona tha

jab hui subh to bistar se phir uTh

girya-e-KHuni se munh dhona tha

dho chuke munh ko to kisht-e-dil mein

tuKHm gham ka hamein phir bauna tha

bo chuke tuKHm to paya ye samar

ki jigar-Kawi thi ji khona tha

ji ke khone ke ho darpai ye kaha

ki nasibon mein yahi hona tha

hona qismat ka kahen kya ta-sham

hum the aur ghar ka bas ek kona tha

kone lag baiThe to 'jurat' ai wae!

phir wahi raat thi aur rona tha

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wan Se Ghar Aa Ke Kahan Sona Tha In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Wan Se Ghar Aa Ke Kahan Sona Tha is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Wan Se Ghar Aa Ke Kahan Sona Tha for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Wan Se Ghar Aa Ke Kahan Sona Tha in PDF.