Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum
tasawwur bandhte hain us ka jab wahshat ke mare hum
to phir karte hain aap hi aap kya kya kuchh ishaare hum
kahe hai yun dil-e-muztar se us bin jaan-e-gham-dida
chalo tum rafta rafta aate hain pichhe tumhaare hum
kai bar us ne dekha aaj chashm-e-qahr se hum ko
saza-war-e-uqubat to hue ai baKHt bare hum
na mani dil ne apni aur na hum ne baat naseh ki
hamein kah kah ke haara wo use kah ke haare hum
wo jab aaina dekhe hai to kya kya muskuraata hai
samajh kar ye ki yani hain qayamat pyare pyare hum
mila lutf-e-suKHan kya KHak hum ko us ki mahfil mein
ki chup baiThe rahe jun naqsh-e-diwar ek kinare hum
hue hain chahne wale tumhaare saikDon paida
ye sach hai ji ki kis ginti mein hain yan ab bichaare hum
kisi mahwash ke gham ne kar diya na-taqat aisa hi
ki chhuTte dekhte hain akasr aankhon aage tare hum
uTha kar aankh to tum dekh lo yan koi dekhe hai
zara qurban hone do hamein sadqe tumhaare hum
karen kya aah aur kis se kahen hum apni bechaini
kahin chain ab tere hathon nahin pate hain pyare hum
qarar ek ja nazar aata nahin hai be-qarari mein
gul-e-bazi ki surat phirte hain bas mare mare hum
hamein kya KHatra-e-jaan hai ki hum hain nam ko 'jurat'
na hon phir kyun ki maidan-e-mohabbat mein utare hum
(962) Peoples Rate This