Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2c6c2e31025c9480ed757720e7264e2c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tan Mein Dam Rok Main Ba Der Rakha - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Tan Mein Dam Rok Main Ba Der Rakha

tan mein dam rok main ba der rakha

aao ji kis ne tum ko gher rakha

hum gae wan to yan wo aaya wah

KHub qismat ne her-pher rakha

kar gaya wo hi rah-e-ishq ko tai

yan qadam jis ne ho diler rakha

sab ko aajiz kiya falak ne par ek

aahu-e-dil pe gham ko sher rakha

ja ke baiThe jo ku-e-yar mein hum

wan se bahar qadam na pher rakha

baad muddat wo dekh kar bola

kis ne yan KHak ka ye Dher rakha

shukr ai dard-e-ishq tu ne sada

zindagani se hum ko ser rakha

kaisa ghabra gaya wo kal hum ne

Tuk jo raste mein us ko gher rakha

KHair ho ya ilahi 'jurat' ne

aashiqi mein qadam ko pher rakha

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tan Mein Dam Rok Main Ba Der Rakha In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Tan Mein Dam Rok Main Ba Der Rakha is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Tan Mein Dam Rok Main Ba Der Rakha for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Tan Mein Dam Rok Main Ba Der Rakha in PDF.