Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain
suno baat us ki ulfat ka baDhana is ko kahte hain
kaha shab KHwab mein aa kar ki aana is ko kahte hain
qadam wadi-e-wahshat-nak-e-ulfat mein rakha hum ne
hazar aafat ka sar par uThana is ko kahte hain
hamari baat kaTi ghair ki taid ki us ne
ghaTana is ko kahte hain baDhana is ko kahte hain
jo ruThe hum to bole be-dili se tum ki aa mil ja
idhar ko dekhiyo kyun ji manana is ko kahte hain
dil-e-muztar ke bais roz-o-shab rahte hain bas larzan
dar-o-diwar-e-KHana tilmilana is ko kahte hain
wo dushman apna samjhe hai ba-dil main dost hun jis ka
kahun kya aur par ulTa zamana is ko kahte hain
ye bole dekh sab taswir us ki aur meri yakja
pari-ru is ko kahte hain diwana is ko kahte hain
kiya hai shefta aalam ko apna us pari-ru ne
diwana ek jahan ko kar dikhana is ko kahte hain
ye chashm-e-gauhar-afshan hazrat-e-dil jalwa-farma hain
nikal ghar se dar-e-daulat pe aana is ko kahte hain
jo gulshan mein kisi ne dekh khilna ghuncha-e-gul ka
kaha bas aa ke yan lazzat uThana is ko kahte hain
tabassum kar ke yun mujh se kaha us shoKH ne o-be
idhar ko dekh ada se muskurana is ko kahte hain
ghazal aur is zamin mein paDhiye wo 'jurat' ki sun jis ko
kahen aashiq kalam-e-ashiqana is ko kahte hain
(1017) Peoples Rate This