Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha
shab-e-wasl dekhi jo KHwab mein to sahar ko sina figar tha
yahi bas KHayal tha dam-ba-dam ki abhi to pas wo yar tha
jo na tha wo ghairat-e-gulsitan to karun ab us ka main kya bayan
ki alam judai ka har zaman mere ek dil pe hazar tha
shab-e-hijr ke kahen kya alam nazar aae subh ko bahte yam
ki ba-josh-e-barish-e-abr-e-gham pe bandha sarishk ka tar tha
tap-e-gham se tha jo jala-bala mere sine mein dil-e-mubtala
so dhuan ho yun wo hawa hua ki na shoala tha na sharar tha
kabhi dast-e-zulf se the baham kabhi ruKH ke lete the bose hum
shab-o-roz ab to hai dard-o-gham kabhi wun bhi lail-o-nahaar tha
jise yaad apni lagaiye use saf dil se bhulaiye
Tuk idhar to aankh milaiye yahi hum se qaul-o-qarar tha
shab-e-hijr ab ye satae hai ki KHizan-e-marg dikhae hai
wo ruKH ab kahan nazar aae hai ki jo rashk-e-subh-e-bahaar tha
mujhe shab jo nashsha-e-gham chaDha to phira kiya main khaDa khaDa
raha ghash mein subh ko jo paDa usi kaif ka ye utar tha
hui hairat ab jo do-chand yan karun aur wajh main kya bayan
ruKH-e-yar subh ko mahr-san magar aaine se do-chaar tha
mujhe ek aashiq-e-KHasta ki kahin kal jo qabr nazar paDi
na kisi se koi lagae ji ye khuda ba-lauh-e-mazar tha
dam-e-qatl koi jo bol uTha to KHajil ho kya wo KHafa hua
use tum ne zabh abas kiya ye tumhaara shukr-guzar tha
koi naw bahr mein thi rawan kai us mein baiThe the mah-wishan
kahin us giroh ke darmiyan dur-e-naz bhi wo sawar tha
tu ba-mauj-e-partaw-e-mah sa kaho iztirab mein dil ka kya
kabhi par tha kabhi war tha kabhi war tha kabhi par tha
ghazal aur qafiye ko badal main sunaun yaron ko bar-mahal
hua muKHtasar na ba-yak ghazal ki baDa fasana-e-yar tha
(1834) Peoples Rate This