Shab-e-hijran Mein Mat Puchho Ki Kin Baaton Mein Rahta Hun
shab-e-hijran mein mat puchho ki kin baaton mein rahta hun
tasawwur bandh us ka subh tak kuchh kuchh main kahta hun
jo dekho ghaur kar to juz o kul bilkul mujhi mein hai
kabhi hun ek hubab-asa kabhi dariya ho bahta hun
tere rukne se pyare bas mera dam rukne lagta hai
nahin to bolta tu boliyan kin kin ki sahta hun
nahin milti hai fursat ghair use ghere hi rahte hain
kahun kuchh haal-e-dil bas DhunDhta itna subahta hun
ye josh-e-ashk ne tufan uThaya hai ki ai 'jurat'
kahe hai kishwar-e-tan mein tu koi dam ko Dhahta hun
(925) Peoples Rate This