Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya
sach to ye hai be-jagah rabt in dinon paida kiya
soch hai har dam yahi hum ko ki hum ne kya kiya
wo gaya uTh kar jidhar ko main adhar hairan sa
us ke jaane par bhi kitni der tak dekha kiya
meri aur us shoKH ki sahib-salamat jo hui
sabr o taqat ne kaha lo hum ne to mujra kiya
sair-e-gul karta tha wo aur aah betabi se main
har taraf gulshan mein jun aab-e-rawan dauDa kiya
jab talak karte rahe mazkura us ka mujh se log
ji mein kuchh socha kiya main aur dil dhaDka kiya
dard-e-dil kahna mera shayad ki us ne sun liya
warna kyun mujh ko dharaata hai bhala achchha kiya
dam-ba-dam hasrat se dekhun kyun na su-e-charKH main
us ne auron ka kiya us ko hamein jis ka kiya
dil mile par bhi milap aisi jagah hote rahe
jo idhar taDpa kiye hum wo udhar taDpa kiya
mil gae the ek bar us ke jo mere lab se lab
umr bhar honTon pe apne main zaban phera kiya
bas ki hai wo shohra-e-afaq us ke waste
ye dil-e-diwana kis kis shaKHs se jhagDa kiya
sozish-e-dil kya kahun main jab talak jita raha
ek angara sa pahlu mein mere dahka kiya
ishq-bazi mein kaha 'jurat' ko sab ne dekh kar
ye aziz apni hamesha jaan par khela kiya
(962) Peoples Rate This