Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3f8e76d3df2395809a5084fdfb2dae83, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Chale Tere Aastan Ko ChhoD - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Sab Chale Tere Aastan Ko ChhoD

sab chale tere aastan ko chhoD

bad-zaban ab to is zaban ko chhoD

mat uTha yar tere kuche mein

aan baiThe hain do jahan ko chhoD

waqt-e-saKHti ke aah jati hai

jaan bhi jism-e-na-tawan ko chhoD

sohbat-e-rast kab ho kaj se barar

tir aaKHir chala kaman ko chhoD

dast-e-be-dad-e-baghban se aah

hum chale aaKHir aashiyan ko chhoD

bagh se wo phira to murgh-e-chaman

lag chale sath gulsitan ko chhoD

na-tawani se misl-e-naqsh-e-qadam

rahe na-chaar karwan ko chhoD

ham-nashin kah tamam qissa-e-ishq

aaj-kal par na dastan ko chhoD

ye mera haal hai jo wo qatil

uTh gaya dam ke mehman ko chhoD

jis tarah pher halq par KHanjar

de koi murgh-e-nim-jaan ko chhoD

kar jawani pe rahm 'jurat' ki

bas gham-e-ishq is jawan ko chhoD

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Chale Tere Aastan Ko ChhoD In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Sab Chale Tere Aastan Ko ChhoD is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Sab Chale Tere Aastan Ko ChhoD for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Sab Chale Tere Aastan Ko ChhoD in PDF.