Nala-e-mauzun Se Misra Aah Ka Chaspan Hua
nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua
zor ye pur-dard apna matla-e-diwan hua
jis ne dekha aa ke ye aaina-KHana dahr ka
fil-haqiqat bas wo apna aap hi hairan hua
sab pe zahir ho gai betabi-e-dil shakl-e-barq
wo bhabhuka apni nazron se jo Tuk pinhan hua
us ke jaane se ye dil mein aae hai rah rah ke hae
sab jahan basta hai ek apna hi ghar viran hua
kash dil se chashm tak aane na pata tifl-e-ashk
rafta rafta ab to ye laDka koi tufan hua
gar hue wa us ke lab to dekhiye kya gul khile
ho KHafa jab be-tarah wo raunaq-e-bustan hua
aae jo marqad pe mere so mukaddar ho gae
KHak ho kar bhi ghubar-e-KHatir-e-yaran hua
roz-o-shab rahne lage is ghar mein ye kafir sanam
kaba-e-dil saf apna ab to kufristan hua
josh-e-wahshat dekhiyo koi ki har ek KHar ke
dhajjiyan ho kar gale ka haar ye daman hua
ashk-e-rangin ne jo apne kar diya yan farsh-e-gul
rashk-e-sad-gulshan hamein ye gosha-e-zindan hua
bandh gaya tera tasawwur jis ki aankhon ke huzur
us ko bas aalam visal-o-hijr ka yaksan hua
yak-ba-yak tu ne ye kaisa rang badla ai falak
teri gardish se kahin kya saKHt ji halkan hua
kal talak jo ghar ghar apna tha so us ke dar pe aaj
nila pila dekh kar kya kya hamein darban hua
garche har qalib mein 'jurat' suraten Dhalti rahin
par bana jo dard ka putla wo hi insan hua
(933) Peoples Rate This