Misl-e-aina Ba-safa Hain Hum
misl-e-aina ba-safa hain hum
dekhne hi ke aashna hain hum
nahin donon jahan se kaam hamein
ek faqat tere mubtala hain hum
dekh sae ki tarah ai pyare
sath tere hain aur juda hain hum
Tuk tu kar rahm ai but-e-be-raham
aaKHirash banda-e-KHuda hain hum
zulm par aur zulm karte ho
is qadar qabil-e-jafa hain hum
jun saba nam ko to hain hum log
lek dekha to ja-ba-ja hain hum
zulfen kahti hain us ki, aashiq ke
mar lene ko to bala hain hum
jab se paida hue hain jun aflak
aah gardish hi mein sada hain hum
hum bhi kuchh chiz hain miyan lekin
ye nahin jaante ki kya hain hum
shoala-e-na-tawan ki manind
hath mein tere ai saba hain hum
gar yahi hai hawa yahan ki to aah
ab koi aan mein hawa hain hum
tu jo kahta hai har ghaDi tere
dekhne se bahut KHafa hain hum
kya karen yar tu hi kar insaf
tujh pe mail nahin hain ya hain hum
dil ke hathon se ai miyan 'jurat'
zindagani se bhi KHafa hain hum
(1181) Peoples Rate This