Matlab Ki Kah Sunaun Kisi Baat Mein Laga
matlab ki kah sunaun kisi baat mein laga
rahta hun roz-o-shab mein isi ghat mein laga
mahfil mein muztarib sa ju dekha mujhe to bas
kahne kisi se kuchh wo ishaaraat mein laga
hote hi wasl kuchh KHafaqan sa use hua
dhaDka ye be-tarah ka mulaqat mein laga
kal raat hum se us ne to puchhi na baat bhi
ghairon ki yan talak wo mudaraat mein laga
aaya hai abr ghir ke ab aane mein saqiya
tu bhi na der mausam-e-barsat mein laga
masjid mein sar-ba-sajda hue hum to kya ki hai
kam-baKHt dil to bazm-e-KHarabaat mein laga
ghaTTe pe apne mathe ki nazan jo ab hue
ye dagh shaiKH-ji ke karamat mein laga
gar mujh ko karKHana-e-taqdir mein ho daKHl
roz-e-qayam wasl ki dun raat mein laga
parwaz ta-ba-arsh agar tu ne ki to kya
sayyaad-e-marg hai teri nit ghat mein laga
waqt-e-aKHir aae tere kaam jo dila
ab dhyan-gyan apna us auqat mein laga
'jurat' hamari baat pe aaya na yan tu aah
kya jaaniye kisi ki wo kis baat mein laga
(1512) Peoples Rate This