Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun
kyunkar gali mein is ki main ai ham-rahan rahun
is aarzu-e-dil pe hai wan to na han na hun
pata hun main jahan use hote hain wan muKHil
hairan hun ab ki raaz-e-dil us se kahan kahun
bas band kar zaban ki sune ai zaban-daraaz
kab tak teri zaban se koi kam zaban-zubun
shahr-e-tarab se shakl-e-gunahgar dil mera
aaKHir hua ba-dosti-e-dil-baran barun
zahir hai qatl-e-ashiq-e-muztar ki KHun se surKH
hai qasr-e-KHana ka tere ai dil-sitan sutun
qail ba-dil hun tab amal-e-hub ka main ki jab
us shoKH se ba-jadd-o-kad-e-amilan milun
be-yar jab lage mujhe zindan se ghar batar
barbaad kyunki ishq mein phir KHandan na dun
kya KHak aab-dari-e-tegh us se ho ki hai
wo chashm-e-surma-sa jo ba-sang-e-fasan fusun
'jurat' zi-bas hain ahl-e-jahan harf-e-na-shunu
daKHil suKHan main kyunki ba-gosh-e-giran karun
(941) Peoples Rate This