Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya
kis ja na be-qarari se main KHasta-tan gaya
par dekhne ka us ke kahin Dhab na ban gaya
kis kis tarah ki ki KHafagi dil ne mujh se aah
ruTha kisi ka yar kisi se jo man gaya
yaro jahan mein ab kahin dekhi wafa ki chaal
jaane do ye na zikr karo wo chalan gaya
sausan zaban nikale jo nikli to zer-e-KHak
kya jaaniye ki kaun ye tishna-dahan gaya
ai ishq sach to ye hai ki shirin ne kuchh na ki
hasrat ka koh dil pe liye kohkan gaya
bas naseha ye tir-e-malamat kahan talak
baaton se teri aah kaleja to chhan gaya
kal us sanam ke kuche se nikla jo shaiKH-e-waqt
kahte the sab idhar se ajab barhaman gaya
paida ye hijr-e-yar mein wahshat hui ki aah
is dil ka wasl mein bhi na diwana-pan gaya
hairan hai tujh ko dekh ke 'jurat' meri to aql
do chaar din mein kya ye tera haal ban gaya
(880) Peoples Rate This