Kaun Dekhega Bhala IsMein Hai Ruswai Kya
kaun dekhega bhala is mein hai ruswai kya
KHwab mein aane ki bhi tum ne qasam khai kya
us ka ghar chhoD ke hum to na kisi dar pe gae
par samajhta hai use wo but-e-harjai kya
sunte hi jis ke hui jaan hawa tan se mere
is gali se ye KHabar baad-e-saba lai kya
wah main aur na aane ko kahunga tauba
main to hairan hun ye baat aap ne farmai kya
bah chala chashm se yakbar jo ek dariya sa
baiThe baiThe mujhe kya jaane ye lahr aai kya
harf-e-matlab ko mere sun ke ba-sad-naz kaha
hum samajhte nahin bakta hai to saudai kya
shaiKH-ji hum to hain nadan par use aane do
hum bhi puchhenge hui aap ki danai kya
kaifiyat mahfil-e-KHuban ki na us bin puchho
us ko dekhun na to phir de mujhe dikhlai kya
aaj dam apna Thaharta nahin kya jaaniye aah
maslahat logon ne wan baiTh ke Thahrai kya
bar mein wo shoKH tha aur sair-e-shab-e-mah thi raat
apne ghar kya kahen thi anjuman-arai kya
par gaya subh se wo ghar to yahi dhaDka hai
dekhen aaj us ka ewaz le shab-e-tanhai kya
dekhne ka jo karun us ke main dawa 'jurat'
mujh mein jurat ye kahan aur meri binai kya
(1357) Peoples Rate This