Kab Koi Tujh Sa Aaina-ru Yan Hai Dusra
kab koi tujh sa aaina-ru yan hai dusra
hai tu tera hi aks numayan hai dusra
puchh us ki mat KHabar jise naseh siye tha to
wo dhajjiyan uDa ye gareban hai dusra
shakl un ki ye hai jo ki hain mahw-e-jamal-e-yar
shashdar khaDa hai ek to hairan hai dusra
ruKH us ka dekhiyo shab-e-mahtab mein koi
goya zamin pe ye mah-e-taban hai dusra
kya dil jigar ki kahiye tamanna-e-wasl mein
hasrat bhara hai ek pur-arman hai dusra
wadi-e-ishq mein hamein barson yun hi kaTe
ek dasht tai kiya ki bayaban hai dusra
tere KHiram-e-naz ke sadqe ki kab koi
aisa chaman mein sarw-KHiraman hai dusra
gham-KHwar-o-munis ab tere bimar ke hain yun
taskin ek de to hirasan hai dusra
'jurat' ghazal paDh aur ek aisi ki sab kahen
kab is tarah ka koi ghazal-KHwan hai dusra
(1032) Peoples Rate This