Kab BaiThte Hain Chain Se Iza UThae Bin
kab baiThte hain chain se iza uThae bin
lagta nahin hai ji kahin lagga lagae bin
jab tak na be-qarar hon paDta nahin qarar
aata nahin hai chain hamein tilmilae bin
be-ah-o-nala munh se nikalti nahin hai baat
hairan baiThe rahte hain aansu bahae bin
zindan lage hai ghar jo kisi ka na hon asir
aate nahin ba-KHud kahin hum aae jae bin
diwane gar na hon to pari-ru na dekhen sair
bigDe hai baat haal-e-pareshan banae bin
jumbish na dast-o-pa mein ho be-shorish-e-junun
afsurda-taba rahte hain dhumen machae bin
gar ho na dard-e-ishq to be-dard hum kahaen
kuchh lutf-e-guftugu hi nahin hae-wae bin
kya josh-e-taba ho na mai-e-ishq gar piyen
kuchh kaifiyat nahin hai ye pyala pilae bin
gar bar mein ho na koi to pahlu-tahi rahe
kya baiThna hai zanu se zanu bhiDae bin
koi na de dikhai to kya KHak dekhiye
rahte asir-e-gham hain kisi ke bulae bin
afkar saikDon hon agar ho na fikr-e-ishq
warastagi kahan hai kahen ji phansae bin
qatil se gar na miliye to 'jurat' hamari kya
jun gul shagufta ho na koi zaKHm khae bin
(1526) Peoples Rate This