Jo Roen Dard-e-dil Se Tilmila Kar
jo roen dard-e-dil se tilmila kar
to wo hansta hai kya kya khilkhila kar
yahi dekha ki uThwae gae bas
jo dekha Tuk udhar ko aankh uTha kar
bhala dekhen ye kin aankhon se kyun ji
kisi ko dekhna hum ko dikha kar
khaDa rahne na den wo ab ki jo shaKHs
uThate the maze hum ko biTha kar
gaya wo dil bhi pahlu se ki jis ko
kabhi rote the chhati se laga kar
chali jati hai tu ai umr-e-rafta
ye hum ko kis musibat mein phansa kar
KHat aaya wan se aisa jis se apna
nawishta KHub samjhe hum paDha kar
abhi ghar se nahin nikla wo tis par
chala ghar-bar ek aalam luTa kar
diya dhaDka use kuchh wasl mein hae
bigaDi baat gardun ne bana kar
mohabbat in dino jo ghaT gai wan
to kuchh pate nahin us pas ja kar
magar hum shauq ke ghalbe se har bar
KHajil hote hain hath apna baDha kar
nahin munh se nikalti us ke kuchh baat
kisi ne kya kaha 'jurat' se aa kar
(875) Peoples Rate This