Jo Rah-e-mulaqat Thi So Jaan Gae Hum
jo rah-e-mulaqat thi so jaan gae hum
ai KHizr-e-tasawwur tere qurban gae hum
jamiyyat-e-husn aap ki sab par hui zahir
jis bazm mein ba-haal-e-pareshan gae hum
us ghar ke tasawwur mein jun hi band kin aankhen
sad-shukr ki be-minnat-e-darban gae hum
kal waqif-e-kar apne se kahta tha wo ye baat
'jurat' ke jo ghar raat ko mehman gae hum
kya jaaniye kam-baKHt ne kiya hum pe kya sehr
jo baat na thi manne ki man gae hum
(890) Peoples Rate This