Jis Ke Talib Hain Wo Matlub Kahin BaiTh Raha
jis ke talib hain wo matlub kahin baiTh raha
muntazir hum ko biTha KHub kahin baiTh raha
bas ki likkhi thi main haalat dil-e-gum-gashta ki
kho ke qasid mera maktub kahin baiTh raha
dekhen kya aankh uTha kar ki hamein to nahaq
aankh dikhla ke wo mahbub kahin baiTh raha
sham se jaise nihan mahr ho so wasl ki raat
munh chhupa kar wo is uslub kahin baiTh raha
hai meri KHana-nashini se ye ghar ghar mazkur
KHail-e-ushshaq ka sarkub kahin baiTh raha
jaana main us ka na aana ki samajh kar wo shoKH
baiThne ko mere mayub kahin baiTh raha
bud-o-bash apni kahen kya ki ab us bin yun hai
jis tarah se koi majzub kahin baiTh raha
awwal-e-ishq mein surat ye bani 'jurat' ki
ho ke aaKHir ko wo mahjub kahin baiTh raha
(956) Peoples Rate This