Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa92a70dcb0e8242b005d8b9770a40f9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jahan Kuchh Dard Ka Mazkur Hoga - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Jahan Kuchh Dard Ka Mazkur Hoga

jahan kuchh dard ka mazkur hoga

hamara sher bhi mashhur hoga

jahan mein husn par do din ke ai gul

koi tujh sa bhi kam maghrur hoga

paDenge yun hi sang-e-tafraqa gar

to ek din shisha-e-dil chur hoga

mujhe kal KHak-afshan dekh bola

yahi ushshaq ka dastur hoga

hua hun marg ke nazdik gham se

KHuda jaane ye kis din dur hoga

wahi samjhega mere zaKHm-e-dil ko

jigar par jis ke ek nasur hoga

hamein paimana tab ye dega saqi

ki jam-e-umr jab mamur hoga

jo yun gham nish-zan har dam rahega

to phir dil KHana-e-zambur hoga

yahi rona hai gar manzur 'jurat'

to binai se tu mazur hoga

(1575) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Kuchh Dard Ka Mazkur Hoga In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Jahan Kuchh Dard Ka Mazkur Hoga is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Jahan Kuchh Dard Ka Mazkur Hoga for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Jahan Kuchh Dard Ka Mazkur Hoga in PDF.