Jab Maine Kaha Ai But-e-KHud-kaam Ware Aa
jab main ne kaha ai but-e-KHud-kaam ware aa
tab kahne laga chal be o bad-nam pare ja
hai subh se aashiq ka tere haal nipaT tang
malum ye hota hai ki ta-sham marega
naseh mere rone ka na mane ho ki aashiq
gar ye na kare kaam to phir kaam kare kya
aata hai gar is abr mein ai saqi-e-gulfam
to baada-e-gul-rang se tu jam bhare la
yan zist ka KHatra nahin han khinchiye talwar
wo ghair tha jo dekh ke samsam Dare tha
main ne jo kaha ek to bosa tu mujhe de
bola wo zaban apni ko tu tham are ha!
gar dida-o-dil farsh karun rah mein 'jurat'
mumkin hi nahin jo wo dil-aram dhare pa
(1325) Peoples Rate This