Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc27dbec41e80cab062cd11ac933758a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Husn Ai Jaan Nahin Rahne Ka - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Husn Ai Jaan Nahin Rahne Ka

husn ai jaan nahin rahne ka

phir ye ehsan nahin rahne ka

nazr ki jeb to ai josh-e-junun

ab ye daman nahin rahne ka

parda mat munh se uThana yakbar

mujh mein ausan nahin rahne ka

tu chala aur ye ji is tan mein

kisi unwan nahin rahne ka

gul ko kya roti hai tu ai bulbul

ye gulistan nahin rahne ka

dam ka mehman hun main ab bhi tu

aa ke mehman nahin rahne ka

nabDi mai aur gulistan mein gul

tere qurban nahin rahne ka

ab bhi aana hai to aa warna myan

ye bhi saman nahin rahne ka

dil ki darKHwast jo ki tu ne to yan

ab ye ek aan nahin rahne ka

aise mein apni amanat le ja

phir tujhe dhyan nahin rahne ka

hijr ke gham se na ghabra 'jurat'

itna hairan nahin rahne ka

(1542) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ai Jaan Nahin Rahne Ka In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Husn Ai Jaan Nahin Rahne Ka is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Husn Ai Jaan Nahin Rahne Ka for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Husn Ai Jaan Nahin Rahne Ka in PDF.