Har-chand Bhare Dil Mein Hain Lakhon Hi Gile Par
har-chand bhare dil mein hain lakhon hi gile par
kya kahiye ki khulta nahin munh waqt mile par
be-dard wo aisa hai ki marham ki jagah hae
chhiDke hai namak mere har ek zaKHm chhile par
ta dil ko na washud ho to kya lutf mile hae
khilti hai jo bu ghuncha-e-gul ki to khile par
mashhur jawani mein ho wo kyun na jagat-baz
mailan-e-tabiat tha laDakpan se zile par
hum gulshan-e-hairat mein hain parwaz kahan ki
jun bulbul-e-taswir kabhi Tuk na hile par
sun wasf-e-dahan dijiye kuchh munh se piyare
mujh shaer-e-muflis ki hai guzran sile par
kis munh se bayan kijiye wo lutf ki 'jurat'
dushnam jo wan milti hain Tuk aankh mile par
(1286) Peoples Rate This