Hamein Dekhe Se Wo Jita Hai Aur Hum Us Pe Marte The
hamein dekhe se wo jita hai aur hum us pe marte the
yahi raaten thin aur baaten thin wo din kya guzarte the
wo soz-e-dil se bhar lata tha ashk-e-surKH aaankhon mein
agar hum ji ki bechaini se aah-e-sard bharte the
kisi dhaDke se rote the jo baham wasl ki shab ko
wo hum ko mana karta tha hum us ko mana karte the
mili rahti thin aanhken ghalba-e-ulfat se aapas mein
na KHauf us ko kisi ka tha na hum logon se Darte the
so ab sad-haif us KHurshid-ru ke hijr mein 'jurat'
yahi raaten hain aur baaten hain wo din kya guzarte the
(879) Peoples Rate This