Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c4b1a167875d26b43e910ef106ae6263, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hai Ye Gul Ki Aur Uski Aab Mein Farq - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Hai Ye Gul Ki Aur Uski Aab Mein Farq

hai ye gul ki aur us ki aab mein farq

jaise pani mein aur gulab mein farq

lab-e-KHuban kahan wo lal kahan

hai bahut sharbat aur sharab mein farq

lakh gali kahi hai kam mat de

main ginunga na ho hisab mein farq

zahida zohd tu paDha, main ishq

hai meri aur teri kitab mein farq

ai sharabi gazak to karta hai

kuchh to kar dil mein aur kabab mein farq

aankh jab se khuli na dekha kuchh

zindagani mein aur hubab mein farq

kuchh nahin karte tum jo shoale mein

aur is ru-e-pur-itab mein farq

hai zamin aasman ka yaro

zarre mein aur aaftab mein farq

kyunki 'jurat' ho shaiKH tujh sa ki hai

piri aur aalam-e-shabab mein farq

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Ye Gul Ki Aur Uski Aab Mein Farq In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Hai Ye Gul Ki Aur Uski Aab Mein Farq is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Hai Ye Gul Ki Aur Uski Aab Mein Farq for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Hai Ye Gul Ki Aur Uski Aab Mein Farq in PDF.