Guzar Is Hujra-e-gardun Se Ho Kidhar Apna
guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna
qaid-KHana hai ajab gumbad-e-be-dar apna
shakl rahne ki hai basti mein ye us bin apni
jaise jangal mein banata hai koi ghar apna
shab ki be-tabiyan kya kahiye ki dekha jo sahar
TukDe TukDe nazar aaya hamein bistar apna
ham-nashin us ko jo lana hai to la jald ki hum
thame baiThe rahen kab tak dil-e-muztar apna
wo gae din ki sada mai-kada-e-hasti mein
baada-e-aish se labrez tha saghar apna
tab-e-nazzara teri lae na KHurshid zara
hath jab tak ki na rakh le wo jabin par apna
denge sar ishq ke saude mein agarche hum ko
is mein nuqsan nazar aata hai sarasar apna
hai zamin KHub ghazal-dar-ghazal is ko kahiye
bas ki mamul hai 'jurat' yahi akasr apna
(1574) Peoples Rate This