Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_661bbb16c989ef620cbc98dcc7d8ab0b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Ro Ro Ke Kahta Hun Kuchh Us Se Agar Apna - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Gham Ro Ro Ke Kahta Hun Kuchh Us Se Agar Apna

gham ro ro ke kahta hun kuchh us se agar apna

to hans ke wo bole hai miyan fikr kar apna

rone se tere kya kahen ai dida-e-KHun-bar

ye KHak mein milta hai dil apna jigar apna

gar baiThte hain mahfil-e-KHuban mein hum us bin

sar zanu se uThta nahin do do pahar apna

lana hai to hamdam use la jald ki hum ko

ahwal nazar aae hai nau-e-digar apna

baaton se kaTe kis ki bhala rah hamari

ghurbat ke siwa koi nahin ham-safar apna

aalam mein hai ghar ghar KHushi-o-aish par us bin

matam-kada hum ko nazar aata hai ghar apna

ya aankhon se ek aan na hota tha wo ojhal

ya jalwa dikhata nahin ab ek nazar apna

har baat ka behtar hai chhupana hi ki ye bhi

hai aib kare koi jo zahir hunar apna

gar ru-ba-ru us ke kisi gham-KHwar ko chupke

kuchh haal sunata hun main ba-chashm-e-tar apna

to kya kahun kahta hai ajab shakl se mujh ko

kuchh honTon hi honTon mein wo munh pher kar apna

kya kya use dekh aati hai 'jurat' hamein hasrat

mayus jo phir aata hai paigham-bar apna

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ro Ro Ke Kahta Hun Kuchh Us Se Agar Apna In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Gham Ro Ro Ke Kahta Hun Kuchh Us Se Agar Apna is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Gham Ro Ro Ke Kahta Hun Kuchh Us Se Agar Apna for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Gham Ro Ro Ke Kahta Hun Kuchh Us Se Agar Apna in PDF.