Garmi Mere Kyun Na Ho SuKHan Mein
garmi mere kyun na ho suKHan mein
ek aag si phunk rahi hai tan mein
wo rashk-e-gul aae gar pas-az-marg
phula na samaun main kafan mein
hushyari mein kab hai aisi lazzat
jo kuchh hai maza diwana-pan mein
KHwari ka meri wo lutf samjhe
kaamil ho jo aashiqi ke fan mein
gardish jinhen misl-e-asiya hai
daim unhen hai safar watan mein
naseh main rafu ko tab kahun aah
haalat ho jo kuchh bhi pairahan mein
ai baad-e-KHizan wo kya hue gul
KHak uDne lagi hai kyun chaman mein
betabi-e-dil kare hai ruswa
kya jaiye us ki anjuman mein
hai tera hi dhyan aur kuchh ab
baqi nahin tere KHasta-tan mein
jald us ko dikha de shakl ai jaan
rah jaegi warna man ki man mein
ghar mein jo nahin wo yar 'jurat'
ghabrae hai apni jaan tan mein
hai ji mein ki KHana kar ke viran
ja baiThiye ek ujaD ban mein
(1344) Peoples Rate This