Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d4f3e62ad6d82c26ad3b95b62498f5bd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gar Kahun Ghair Se Phir Rabt Hua Tujhko Kya - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Gar Kahun Ghair Se Phir Rabt Hua Tujhko Kya

gar kahun ghair se phir rabt hua tujh ko kya

kya bura man ke kahta hai bhala tujh ko kya

sar uThana tujhe baalin se jo dushwar hai ab

kyun dila baiThe-biThae ye hua tujh ko kya

puchhun ranjish ka sabab us se to jhunjhla ke kahe

gar KHafa hun to main hun aap ko, ja tujh ko kya

hum asiran-e-qafas kya kahen KHamosh hain kyun

rah le apni chal ai baad-e-saba tujh ko kya

gar kiya us se juda mujh ko to kah de ye falak

mere aur us ke na milne se mila tujh ko kya

hath uThata nahin gar ishq se main ai naseh

tu nasihat se meri hath uTha tujh ko kya

gar kaho nam-e-KHuda lagte ho tum kya hi bhale

to ye kahta hai bhala hun to bhala, tujh ko kya

kyun dila bistar-e-gham par hai tu KHamosh paDa

kuchh to kah mujh se kisi ne ye kaha tujh ko kya

ab wo mauquf hua nama-o-paigham bhi aah

harf ghairon ka asar kar hi gaya tujh ko kya

mere milne se kiya mana kisi ne jo tujhe

tu ne is baat ko sun kar na kaha tujh ko kya

paik-e-ashk aankhon se chal nikle jo KHat paDhte hi

'jurat' ab kuchh tu bata us ne likha tujh ko kya

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Kahun Ghair Se Phir Rabt Hua Tujhko Kya In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Gar Kahun Ghair Se Phir Rabt Hua Tujhko Kya is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Gar Kahun Ghair Se Phir Rabt Hua Tujhko Kya for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Gar Kahun Ghair Se Phir Rabt Hua Tujhko Kya in PDF.