Dud-e-atish Ki Tarah Yan Se Na Tal Jaunga
dud-e-atish ki tarah yan se na Tal jaunga
shama-san mahfil-e-jaanan hi mein jal jaunga
dur se bhi use dekhun to ye chitwan mein kahe
aa ke dide abhi talwon tale mal jaunga
dil-e-muztar ye kahe hai wahin le chal warna
toD chhati ke kiwaDon ko nikal jaunga
main hun KHurshid-e-sar-e-koh yaqin hai ki wo mah
aaega baam pe tab jab ki main Dhal jaunga
aaj bhi koi na le jaega wan mujh ko to bas
kal nahin hai mujhe main ji hi se kal jaunga
wan se uThta hun to kahta hai ye pa-e-raftar
jab zamin par tu rakhega main phisal jaunga
ba-KHuda husn-e-butan ka yahi sab se hai kalam
wo chhalawa hun ki tum sab ko main chhal jaunga
aa ke barson mein wo mujh pas ye shab kahne lage
yan Thaharne mein bahut se hain KHalal jaunga
tegha qatil ka kahe hai ki duwali bandu
muTh ki tarah se tum sab pe main chal jaunga
go mizaj is ka ye badla ki kahe hai mujhe yun
dekho tum aae to main ghar se nikal jaunga
par raha jaega kab hai meri haalat taghir
yun na jaunga to main bhes badal jaunga
'jurat' ashaar-e-junun-KHez kah ab aur ki main
le ke ye turbat-e-sauda pe ghazal jaunga
(930) Peoples Rate This