Dil Ko Ai Ishq Su-e-zulf-e-siyah-fam Na Bhej
dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej
rahzanon mein tu musafir ko sar-e-sham na bhej
dekh ho jaunga ghairon ke gale ka main haar
haar phulon ke tu ai shoKH-gul-andam na bhej
bhar nazar surat-e-gul dekh to len ai be-dard
hae sayyaad abhi hum ko tah-e-dam na bhej
jab wo bheje hai mujhe mai to kahen hain yun ghair
ye bahak jaega bas aur ise jam na bhej
bhejun us pas jo qasid ko dobara to kahe
baz aaya, nahin lene ka main inam na bhej
kucha-e-yar mein pahunche hain to bas rahne de
jite-ji yan se kahin gardish-e-ayyam na bhej
dam-ba-dam bheje hai quliyan hi ko kya munh se laga
lab se bhi lab ko mila bosa-ba-paigham na bhej
baad muddat ke tujhe paya hai tanha ba-KHuda
aaj tu kaam ko yan se but-e-KHud-kaam na bhej
de kabhi bosa-e-chashm-o-lab-e-jaan-baKHsh bhi jaan
sirf saughat hamein bosa-ba-paigham na bhej
galiyan to hain mohabbat ki ibarat pyare
kab main kahta hun ki likh kar mujhe dushnam na bhej
par ye dhaDka hai ki jawe na kahin KHat pakDa
kar ke sar-name pe tahrir mera nam na bhej
'jurat' ab tujh se wo ruTha to mana kyunki main laun
tu hi phir dene lagega mujhe ilzam na bhej
(1564) Peoples Rate This