Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f5afca02f732f7e0f98788f869d951d6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dekhiyo Uski Zara Aankh Dikhane Ka Maza - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Dekhiyo Uski Zara Aankh Dikhane Ka Maza

dekhiyo us ki zara aankh dikhane ka maza

chitwanon mein hai bhara sare zamane ka maza

kis maze se hai ayan duzdi-e-dil hai zalim

lun chara kyunki tere aankh churane ka maza

lazzat-e-wasl koi puchhe to pi jata hun

kah ke honTon hi mein honTon ke milane ka maza

kya tere mai-kash-e-ulfat ka ye kaifiyyat hai

dard-e-dil kar ke bayan rone rulane ka maza

dast-bar-dil ho uThata hun ajab lazzat-e-dard

yaad kar hijr mein wo hath baDhane ka maza

jo KHamoshi mein hai lazzat nahin goyai mein

be-KHudi sa hai kahan aap mein aane ka maza

us ke laDne ke bhi sadqe ki nazar aata hai

ain ranjish mein ajab aankh laDane ka maza

KHwab-o-KHur se tere bimar ko kya kaam ki hai

lazzat-e-KHwab na kuchh is ko na khane ka maza

yaad aata hai to jata hun KHuda jaane kahan

wo lagawaT ki nigahon mein bulane ka maza

kya kahun wasl ki shab le ke balaen us ki

kya uThata hun main zanu pe biThane ka maza

main to phir aap mein rahta nahin dil se puchho

aage phir bhench ke chhati se lagane ka maza

dar pe us parda-nashin ke ho to ba-saut-e-buland

sher us waqt hai 'jurat' se paDhane ka maza

(1557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhiyo Uski Zara Aankh Dikhane Ka Maza In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Dekhiyo Uski Zara Aankh Dikhane Ka Maza is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Dekhiyo Uski Zara Aankh Dikhane Ka Maza for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Dekhiyo Uski Zara Aankh Dikhane Ka Maza in PDF.