Dard Apna Main Isi Taur Jata Rahta Hun
dard apna main isi taur jata rahta hun
hasb-e-haal us ko kai sher suna rahta hun
ek hi ja rahne ka hai ghar pa usi ghar mein aah
dil ye rahta hai juda aur main juda rahta hun
baat mein kis ki sunun aah ki ai murgh-e-chaman
shor mein apne hi nalon ke sada rahta hun
bare itna hai asar dard ke afsane mein
ek do shaKHs ko har roz rula rahta hun
bazm-e-KHuban mein ye sar go kaTe rone pe mera
shama-san ashk par aankhon se baha rahta hun
aah-o-nala mein agar kuchh bhi asar hai mere
to main us shoKH ko ek roz bula rahta hun
husn aur ishq ka kya zikr karun mat puchho
in dinon zist se bhi apni KHafa rahta hun
dil laga jab se mera aah tabhi se 'jurat'
kitni hi aafaten har roz uTha rahta hun
(909) Peoples Rate This