Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ede5d3bd02cb695f5f3521b89d7fd178, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin

dam mein hum ko late ho tum dil aTka hai aur kahin

sher paDhane hum se aur mazmun gaTha hai aur kahin

aankhen zara milana idhar ko kyun ji ye kya baaten hain

baat ki hum se uThani lazzat ji ka maza hai aur kahin

haq to hai kuchh haal-e-dil apna kahte hain jab tum se hum

kan lagae sunte ho par dhyan laga hai aur kahin

dekhiyo ye ayyari koi kya kya hum ko lapeTe mein

wo but-e-pur-fan leta hai dil jis ne diya hai aur kahin

Tok ke us se baat karun to yun wo kahe hai chitwan mein

mujh ko na chheDo dhyan aji is waqt mera hai aur kahin

hum se zabani milne ko tum kahte ho hum jaante hain

dil se par aane jaane ka iqrar kiya hai aur kahin

dekh ke hum ko jo kahte ho tum aao baiTho baat karo

baaten ye sab zahir ki hain uns hua hai aur kahin

ab to kuchh hamdard se mere aate ho tum mujh ko nazar

tum sa shayad koi pyare tum ko mila hai aur kahin

baiThe ho mujh pas wa-lekin ghabrane se nikle hai

aankh bacha kar uTh jaane ka dhyan bandha hai aur kahin

zahir mein tum kahte ho mujh ko baiTho abhi to jao na ghar

mujh ko to malum hai jo paigham gaya hai aur kahin

baaten kar ke lagawaT ki ye kafir hun gar jhuT kahun

dil ko mere tum lete ho ji nam-e-KHuda hai aur kahin

haif hai us ke hone par jo yaad karo tum ghair ko jaan

'jurat' mein jo nahin so aisi baat wo kya hai aur kahin

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin in PDF.