Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat
bulbul sune na kyunki qafas mein chaman ki baat
aawara-e-watan ko lage KHush watan ki baat
mat puchh haal apne tu bimar-e-ishq ka
hone lagi ab us ke to gor-o-kafan ki baat
hai mausam-e-bahaar mein ba-sad-zaban KHamosh
ghunche ne kya suni thi kisi ke dahan ki baat
aish-o-tarab ka zikr karun kya main dosto
mujh gham-zada se puchhiye ranj-o-mehan ki baat
naseh main kya kahun ki hua kis tarah se chaak
dast-e-junun se puchho mere pairahan ki baat
tha aaqil-e-zamana pa diwana ho gaya
jis shaKHs ne suni mere diwana-pan ki baat
sar dije rah-e-ishq mein par munh na moDiye
patthar ki si lakir hai ye kohkan ki baat
bazm-e-chaman bhi us se KHajil hai bahaar mein
kya puchhne hai yar teri anjuman ki baat
yaro main kya kahun ki jala kis tarah patang
puchho zaban-e-shama se us ki lagan ki baat
shayad usi ka zikr ho har rahguzar mein main
sunta hun gosh-e-dil se har ek mard-o-zan ki baat
wo shai nahin hai hum mein ki jis se mile wo yar
aati hai yun to hum ko bhi har ek fan ki baat
'jurat' KHizan ke aate chaman mein raha na kuchh
ek rah gai zaban pe gul-o-yasman ki baat
(1519) Peoples Rate This