Bin Tere Kya Kahen Kya Rog Hamein Yar Laga
bin tere kya kahen kya rog hamein yar laga
Dar lage nam liye jis ka wo aazar laga
sab ye kahte hain mujhe tujh se jo dil yar laga
hae kya is ko jawani mein ye aazar laga
hum diwanon ka ye hai dasht-e-junun mein rutba
ki qadam rakhte hi aa panw se har KHar laga
kahiye kyunkar na use baadshah-e-kishwar-e-husn
ki jahan ja ke wo baiTha wahin darbar laga
qadr phir apni ho kya us ke KHaridaron mein
roz-o-shab jis ki gali mein rahe bazar laga
kaun sa din wo kaTa mujh pe ki ai tegh-e-firaq
zaKHm ek taza mere dil pe na har bar laga
dil mein ab us ke jo lahr aai hai ghar jaane ki
tu bhi rone ki jhaDi dida-e-KHun-bar laga
muttasil tu jo mera KHun-e-jigar pita hai
kyun gham-e-ishq ye kya tujh ko mazedar laga
tez-dasti-e-junun aaj hai aisi hi ki bas
na raha apne gareban mein koi tar laga
is zamin mein ghazal ek aur bhi paDh ai 'jurat'
KHub andaz ke ab kahne tu ashaar laga
(986) Peoples Rate This