Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha
ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha
ki hazaron dil mein thin hasraten aur uThana aankh muhaal tha
raha shab jo hum se juda koi to kahe ye waqia kya koi
shab-e-hijr thi ki bala koi jise dekhte hi visal tha
ruKH-e-yar ta na paDa nazar rahe hum alam se ye nauhagar
ki hamare ranj-o-malal par to malal ko bhi malal tha
kare kaun us se barabari mah-o-zohra sab ko thi ham-sari
dam-e-subh dekh sitamgari ruKH-e-mahr zarra-misal tha
shab-e-wasl dekh ke KHwab mein main paDa tha saKHt azab mein
the hazar soch jawab mein ajab us ka mujh se sawal tha
mere josh-e-ashk se bahra-war hue kul jahan ke bahr-o-bar
na barasti aaj ye chashm-e-tar to KHuda-na-KHwasta kal tha
jo numud karte hi aap se lage baiThne wo shitab se
to ye puchhe koi hubab se ki phulae apne ye gal tha
hawa main bhi daKHil-e-kushtgan to abas tu howe hai sar-garan
ki mere gale ki taraf miyan tere aab-e-tegh ka Dhaal tha
diya kha ke aap ne pan jo dil-e-mubtala hua surKH-ru
use samjha peT ka bojh wo jo tumhaare munh ka ugal tha
jo mariz tha paDa jaan-ba-lab KHabar aur kuchh nahin us ki ab
magar itna kahte hain log sab ki baDa ye nek-KHisal tha
jo chaman se dur qafas hua to main aur asir-e-hawas hua
ye jo zulm ab ke baras hua yahi qahr agle bhi sal tha
nahin chahta hai ab aasman ki hum aur wo hun ba-yak-makan
kahin aa gaya jo wo shab ko yan ki bulana jis ka muhaal tha
to ye rang chambar-e-charKH ka nazar aae tha mujhe barmala
kabhi tha siyah kabhi zard tha kabhi sabz tha kabhi lal tha
na kisi ne qadr ki 'jurat' ab kahe sher garche ajab ajab
jo na honge hum to kahenge sab ki baDa ye ahl-e-kamal tha
(1222) Peoples Rate This