BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin
baiThe to pas hain par aankh uTha sakte nahin
ji laga hai pa abhi hath laga sakte nahin
dur se dekh wo lab kaTte hain apne honTh
hai abhi pas-e-adab honTh hila sakte nahin
takte hain us qad o ruKHsar ko hasrat se aur aah
bhench kar KHub sa chhati se laga sakte nahin
dil to in panw pe loTe hai mera waqt-e-KHiram
shab ko duzdi se bhi par un ko daba sakte nahin
chor se raat khaDe rahte hain is dar se lage
par jo matlub hai wo jins chura sakte nahin
rijhte un ki adaon pe hain kya kya lekin
mare andeshe ke gardan bhi hila sakte nahin
dekh rahte hain wo aaina-e-zanu us ka
par kisi shakl se zanu ko bhiDa sakte nahin
qaede kya hamein malum nahin ulfat ke
be-kam-o-kast magar un ko paDha sakte nahin
chipke tak rahte hain rang us ka bhabuka sa hum
aah par dil ki lagi apni bujha sakte nahin
kya ghazab hai ki wahi bole to bole az-KHud
hum unhen kyun ki bulawen ki bula sakte nahin
garche ham-KHana hain 'jurat' pa hamare aise
baKHt soe ki kahin sath sula sakte nahin
(1021) Peoples Rate This