Baghair Uske Ye Hairan Hain Baghal Dekh Apni Khaali Hum
baghair us ke ye hairan hain baghal dekh apni KHali hum
ki karwaT le nahin sakte hain jun taswir-e-qali hum
koi aatish ka parkala jo waqt-e-KHwab yaad aawe
to samjhen kyun na angare ye gul-ha-e-nihaali hum
irada gar kiya dushnam dene ka ab ai pyare
to lab se lab mila kar bas teri kha lenge gali hum
na ho pahlu mein apne jab wo sabza rang hi zalim
to phir kis rang kaTen ye bala se raat kali hum
laDi hai aankh us se jo ye chitwan mein jatata hai
kisi ki kya hamein parwa hain apne la-ubaali hum
na ho wo sim-tan pas apne jab sair-e-shab-e-mah mein
karen to dekh kya bas ek pital ki si thaali hum
jo ho dur-az-KHayal-e-'mani'-o-'bahzad' har surat
baghair-az-mu-qalam khinchin wo taswir-e-KHyali hum
karen wasf-e-jamal-e-yar mein ek sher gar mauzun
to samjhen intiKHab-e-jumla asha-e-jamali hum
ba-kunj-e-be-kasi paDhte hain jo hum marsiya dil ka
to hain aap hi jawabi aur aap hi hain sawali hum
wo Duba itr mein ho mast-e-mai masruf-e-sair-e-gul
aur us ko is rawish dekhen darun-e-bagh-e-KHali hum
gul-e-ummid to shayad ki apna bhi shagufta ho
tajjub kuchh nahin gar paen phal pate sahaali hum
zi-bas haalat-e-ishq ab hum pe tari hai sada 'jurat'
ba-tarz-e-ashiqana kahte hain ashaar-e-'haali' hum
(904) Peoples Rate This