Amal Kuchh Aisa Kiya Adu Ne Ki Ishq Baham Laga ChhuDaya
amal kuchh aisa kiya adu ne ki ishq baham laga chhuDaya
ilahi chhuT jaen us ki nabzen milap jis ne mera chhuDaya
na baiThe aaram se wo gahe uThae nit dukh pe dukh KHudaya
ki jis ne nahaq uTha ke bohtan apna wan baiThna chhuDaya
ilahi mahrum rakhiyo us ko mudam lazzat-e-do-jahan se
asir-e-dam-e-firaq kar mujh ko jis ne mera maza chhuDaya
na dosti ka use mile phal na koi marbut howe us se
ki jis ne kar dushmani KHudaya jo rabt aapas mein tha chhuDaya
urus-e-giti samajh ke us ko zalil hargiz na munh lagawe
ilahi aqd-e-mohabbat us se ye jis ne mera bandha chhuDaya
chhuTe gareban us ka gahe na panja-e-ranj se KHudaya
ki daman-e-wasl hath apne se jis ne us shoKH ka chhuDaya
ilahi zindan-e-gham se pawe na jite-ji wo kabhi rihai
ki jis ke bahkae se ab us ne dil apna hum se phansa chhuDaya
lahu jo mushtaq wasl ka tha chhuTa na qadmon se us ke hargiz
agarche dho dho ke us ne kitna ba-shakl-e-rang-e-hina chhuDaya
kahe hai 'jurat' yahi ba-takrar dard-e-hijran se hath mal mal
ilahi chhuT jaen us ki nabzen milap jis ne mera chhuDaya
(986) Peoples Rate This