Ai Dila Hum Hue Paband-e-gham-e-yar Ki Tu
ai dila hum hue paband-e-gham-e-yar ki tu
ab aziyyat mein bhala hum hain giraftar ki tu
hum to kahte the na aashiq ho ab itna to bata
ja ke hum rote hain pahron pas-e-diwar ki tu
hath kyun ishq-e-butan se na uThaya tu ne
kaf-e-afsos hum ab malte hain har bar ki tu
wahi mahfil hai wahi log wahi hai charcha
ab bhula baiThe hain hum shakl-e-gunahgar ki tu
hum to kahte the ki lab se na laga saghar-e-ishq
mai-e-andoh se ab hum hue sarshaar ki tu
be-jagah ji ka phansana tujhe kya tha darkar
tan o tashnia ke ab hum hain saza-war ki tu
wahshat-e-ishq buri hoti hai dekha nadan
hum chale dasht ko ab chhoD ke ghar-bar ki tu
aatish-e-ishq ko sine mein abas bhaDkaya
ab bhala khinchun hun main aah-e-sharar-bar ki tu
hum to kahte the na hamrah kisi ke lag chal
ab bhala hum hue ruswa sar-e-bazar ki tu
ghaur kije to ye mushkil hai zamin ai 'jurat'
dekhen hum is mein kahen aur bhi ashaar ki tu
(1028) Peoples Rate This