Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4e25b5451a841c84b27de9ca22ad2e83, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Ishq Tamasha Mujhe Dikhlae Hai Kuchh Aur - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Ab Ishq Tamasha Mujhe Dikhlae Hai Kuchh Aur

ab ishq tamasha mujhe dikhlae hai kuchh aur

kahta hun kuchh aur munh se nikal jae hai kuchh aur

naseh ki himaqat to zara dekhiyo yaro

samjha hun main kuchh aur mujhe samjhae hai kuchh aur

kya dida-e-KHun-bar se nisbat hai ki ye abr

barsae hai kuchh aur wo barsae kuchh aur

rone de, hansa mujh ko na hamdam ki tujhe ab

kuchh aur hi bhata hai mujhe bhae hai kuchh aur

paigham-bar aaya hai ye ausan ganwae

puchhun hun main kuchh aur mujhe batlae hai kuchh aur

'jurat' ki tarah mere hawas ab nahin bar ja

kahta hun kuchh aur munh se nikal jae hai kuchh aur

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ishq Tamasha Mujhe Dikhlae Hai Kuchh Aur In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Ab Ishq Tamasha Mujhe Dikhlae Hai Kuchh Aur is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Ab Ishq Tamasha Mujhe Dikhlae Hai Kuchh Aur for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Ab Ishq Tamasha Mujhe Dikhlae Hai Kuchh Aur in PDF.