Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_49ce773a360a6ed0fbe04d6a0ba79c4a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Guzara Nahin Us ShoKH Ke Dar Par Apna - Jurat Qalandar Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Ab Guzara Nahin Us ShoKH Ke Dar Par Apna

ab guzara nahin us shoKH ke dar par apna

jis ke ghar ko ye samajhte the ki hai ghar apna

kucha-e-dahr mein ghafil na ho paband-e-nashist

rahguzar mein koi karta nahin bistar apna

gham-zada uTh gae duniya hi se hum aaKHir aah

zanu-e-gham se wa-lekin na uTha sar apna

dekhen kya lahja-e-hasti ko ki jun aab-e-rawan

yan Thaharna nazar aata nahin dam bhar apna

gar malun main kaf-e-afsos to hansta hai wo shoKH

hath mein hath kisi shaKHs ke de kar apna

wae qismat ki rahe log bhi us pas na wo

zikr late the kisi Dhab se jo akasr apna

zabah karna tha to phir kyun na meri gardan par

zor se pher diya aap ne KHanjar apna

nim bismil hi chale chhoD ke tum kyun pyare

zor ye tum ne dikhaya hamein jauhar apna

kya karen dil jo kahe mein ho to hum ai 'jurat'

na kahin jaen ki hai sab se bhala ghar apna

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Guzara Nahin Us ShoKH Ke Dar Par Apna In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Ab Guzara Nahin Us ShoKH Ke Dar Par Apna is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Ab Guzara Nahin Us ShoKH Ke Dar Par Apna for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Ab Guzara Nahin Us ShoKH Ke Dar Par Apna in PDF.