ZaKHm-e-tamanna
ek phul ka chaman mein talabgar main hua
wo phul khil raha tha sar-e-shaKH aarzu
wo phul sad-hazar gulistan mein intiKHab
wo phul dilkashi ki kahani ka shoKH bab
doshizgi ka KHwab bahaaron ki aab-o-tab
har pankhuDi nazakat-o-nuzhat liye hue
wo gul tha itr-dan-e-mohabbat liye hue
jazbaat ki tapish se machalne laga tha main
garmi-e-arzu se pighalne laga tha mein
resham ka jism rakhte hue KHar ban gaya
wo phul meri jaan ka aazar ban gaya
ek roz mere sath hua waqia ajab
betab ho ke dast-e-talab jab kiya daraaz
hasil jo samne tha bahut dil-KHarash tha
manus ungliyan jo huin nok-e-KHar se
ek ek qatra
un se Tapakne laga lahu
wo Tis thi ki
mujh ko
KHuda yaad aa gaya
(937) Peoples Rate This